Wednesday, 30 March 2011

Momen Khan

Wo jo ham men tum men qarar tha tumhen yad ho k na yad ho.

Momen Khan
Wo jo ham men tum men qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
vahii yanii wadaa nibaah kaa tumhen yaad ho k na yad ho
wo naye gile vo shikaayaten vo maze maze kii hikaayaten
wo har ek baat pe rothanaa tumhen yad ho ke na yad ho
ko_ii baat aisii agar hui jo tumhare ji ko buri lagi
to bayaan se pahale hi bholanaa tumhen yad ho ke na yaad ho
suno zikr hai kai saal kaa, koi waada mujh se tha aap kaa
vo nibaahane kaa to zikr kyaa, tumhe.n yaad ho ke na yaad ho
kabhi ham men tum men bhi chah thi, kabhi ham se tum se bhi rah thi
kabhi ham bhii tum bhii the aashnaa, tumhen yaad ho ke na yaad ho
hue ittefaaq se gar baham, vo vafaa jataane ko dam-ba-dam
gilaa-e-malaamat-e-arqabaa, tumhen yaad ho ke na yaad ho
vo jo lutf mujh pe the beshtar, vo karam ke haath mere haath par
mujhe sab hai.n yaad zaraa zaraa, tumhe.n yaad no ki na yaad ho
kabhi baithe sab hain jo ruu-ba-ruu to ishaaraton hii se guftaguu
vo bayaan shauq kaa baramalaa tumhe.n yaad ho ki na yaad ho
vo bigarana vasl ki raat kaa, vo na maananaa kisi baat ka
vo nahin nahin kii har aan adaa, tumhe.n yaad ho ki na yaad ho
jise aap ginte thy aashnaa jise aap kahate thy baavafaa
main vahii hun "Momin"-e-mubtalaa tumhen yaad ho ke na yaad ho

No comments:

Post a Comment

Popular Posts