Friday, 23 September 2016

Urdu solved mcqs

1)Masnavi "gulshan e Ishq" kis ki tasneef hai?
Nusrati

2)Kis muhaqqiq ne urdu zuban ko marhati ki sagi behn qaraar dia?
a)Ain ul Haq Farid koti
b)Sohail Bukhari
c)Shaukat sabzwaari

3)Sonnet kitnay misron per mushtamil sinf e sukhan hai?
14

4)"Logo Markeziat" kis maghrabi naqqad ki istelaah hai?
a)Xak dareeda
b)Meeshal Foko
c)Franciso leutar

5)Shaiyiri mein "shakhsiat ki nafi" ka tasawwur kis maghribi naqqad ne paish kia?
Eliot

6)Ghalib ka san e wafat?
1869

7)"Mukhzin" ka pehla shumara kab shaya hua?
April 1901

8)"kaii chand thay ser e aasman" kis ka novel hai?
c)Shams ud din Farooqi

9):Tanqeed aur amli tanqeed k musannif ka naam?
Ahtasham Hussain

10)Allama Iqbal ki nazm "Zauq o shauq" un k kis majmmoay mein shamil hai?
Baal e Jibriel

11)Talkhaba e sheereen kis ka shaeri majmooa?
Hafeez Jalandhri

12)Anjuman e Punjab se wabasta maroof angrez shakhsiat?
Dr. Lietner

13)Muqadamma sher o shairi ka saal e ishayat?
a)1891
b)1892
c)1893

14)Tarraqi pasand tehreeq ki pehli conference kaha munaqqid hui?
Lakhnao

15)"ishq o inqilaab kis taraqqi pasand shaair ki kullyat hai?
Zaheer Kashmiri

16)"halqa arbab e zauq" ka pehla ajlaas kis ki zer e sadarat hua?
Hafeez Hoshiyar Poori

17)"aaraish e mehfil" mein kon sa qissa bayan hua hai?
Hatim Taai

18)Dil gudaaz k mudeer ka naam?
Abdul haleem sharar

19)Sir Syed ki zindagi mein tehzeeb ul akhlaq ka aakhri shumara kab shaya hua?
1897

20)Sham ki mundair se"kis noyiat ki tasneef hai?
khud navisht

No comments:

Post a Comment

Popular Posts